see here

Search This Blog

google ads

Wednesday 24 August 2011

Image Image









wasi-shah-urdu-poetry

SHARBATI KAANCH KI TOOTI HU NAAZUK CHOORI……
aik aanchal say bandha hai sab kuch
aik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hont
aik sandal ki unaabi pencil
aik beyrabt ka ukhra hua khat
aik adad card
jis ko chooney say teri yaad chali aati hai
aur is card main rakhi hui akloti palak
jis say maanoos duaaon ki mahak aati hai
kisi gumnaam say shaair ka adhura misra
aik paazaib say bichra hua ujla mauti
aik murjhai hui zard chanbali ki kali
jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain
aik boseeda sa question paper
jis kay konay peh likha naam abhi taaza hai
sharbati kaanch ki tooti hui naazuk choori
aik toota hua halka sa gulabi naakhun
aik gadla sa tissue paper bhi
jis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain
yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera
yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera
aik aanchal say bundha hai sab kuch!
aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch!!!

————————–@@@@@@@————————-

Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho
Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho
Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho
Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho
Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho
Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho
Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho









No comments:

Post a Comment